GLyr

Gajendra Verma – Tera Hi Rahun

song cover

Lyrics Gajendra Verma – Tera Hi Rahun

Text:

Main tera hi rahun
Tu meri hi rahe
Na ho ye faasle, oh meri jaana!

Kahin bhi tu rahe

Kahin bhi main rahun
Na toote ye hosle, saath nibhana

Mil gaya, mil gaya, mera jahan
Ho gaya, ho gaya, tu jo mera

Mohabbat ke safar
Ka raahi umr bhar
Main ban jaunga agar, tu ho rasta
Siyahi se waqt ki
Dilon ke vark par
Likhte jayenge, apni daastan
O ho..

Mil gaya, mil gaya, mera jahan
Ho gaya, ho gaya, tu jo mera

Aa…

Tu sooraj ki dhoop hai
Main sardi ki hoon subah
Mere har ik marz ki tu hai dawa

Main jab bhi dekh loon
Tujhe kareeb se
Lage ke mil gaya hai mera Khuda

Tu poora chaand hai
Main saagar ki lehar
Koi toofan uthe chhu lun tujhe agar

Aa lag ja tu gale
Rahe na koi kasar
Main bhi kuch sawar jaunga

hoga tera asar

Mil gaya, mil gaya, mera jahan
Ho gaya, ho gaya, tu jo mera
x2