Lyrics Lata Mangeshkar – Milo Na Tum To Ham Ghabraye
Text:
Milo na tum to hum ghabraye
Milo to ankh churayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
Milo na tum to hum ghabraye
Milo to ankh churayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
Tumhi ko dil ka raaz bataayein
Tumhi se raaz chhupaayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
O bhole saathiya
Dekhi jo shokhi tere pyar ki oye hoye
O bhole saathiya
O bhole saathiya
Dekhi jo shokhi tere pyar ki
Aanchal mein bhar li humne
Saari baharein sansar ki
Nayi adaa se hum itraayein
Paayi khushi lutaayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
Milo na tum to hum ghabraye
Milo to ankh churayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
Roothe kabhi, kabhi maan gaye
Ghaatein tumhari hum jaan gaye
Aa aisi adaayein kurban gaye
Tumhein manaayein, dil behlaayein
Kya kya naaz uthaayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
Milo na tum to hum ghabraye
Milo to ankh churayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
O sohne jogiya
Rang le hamein bhi isi rang mein oye hoye
O sohne jogiya
O sohne jogiya
Rang le hamein bhi isi rang mein
Phir se suna de bansi
Kaliyan khila de gore ang mein
Wohi jo taane aag lagaayein
Unhin se aag bujhaayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
Milo na tum to hum ghabraye
Milo to ankh churayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai
Tumhi ko dil ka raaz bataayein
Tumhi se raaz chhupaayein
Hamein kya ho gaya hai
Hamein kya ho gaya hai