Lyrics Bollywood – Khwabfaroshi
Text:
Khwabfaroshi jiyara dagha de
Jiske sang naa lagaa re uska saga ye
Khanabadoshi naina banjaare
Dhoonde tujhmein thikane zidd pe jiya re
Jiyara bhatkaaye
Bewajah tadpaaye
Yeh lade tujhi se bewafaa
Yeh adde tujhi pe har dafaa
Tu falak hoon main zameen jaise
Yeh falak yeh ik kami jaise
Dhokhebaazi waala kaarobaar yeh
Khokhebaazi jeeta kyun yeh pyar hai
Khwabfaroshi uljhe sitaare
Haathon ki ye laqeerein juda do kinaare
Khanabadoshi raah lapata re
Jiska ho na saka main uske hawaale
Baatein thi ankahi
Kehni thi na kahi
Kya thi main ghalat ya sahi
Tera mera kya vassta
Doraah hai yeh raasta
Jab bhi aaye tu saamne
Kyun baney phir wohi daastan
Lagi tujhmein mujhmein hod hai koi
Koi thaame chhod de koi
Jaane kyun hum aise mod pe miley
Sirf dhoonde shiqwe gile
Seenazori wala iqraar hai
Ki na chori haaye izhaar hai
(Izhaar hai, izhaar hai, izhaar…)
Khwabfaroshi aag lagaaye
Ruaan ruaan jaise dhuaan dhuaan jaaye
Khanabadoshi khoon badhaaye
Kaante kaante chubhte raatein raatein jaaye
Jhoothi moothi kasmein aadhe aadhe vaade
Tooti phooti rasmein betuke iraade
Khwabfaroshi aag lagaye
Ruaan ruaan jaise dhuaan dhuaan jaaye
Khwabfaroshi uljhe sitaare
Haathon ki ye laqeerein juda do kinaare
Khanabadoshi raah lapata re
Jiska ho na saka main uske hawaale