GLyr

Bollywood – Fakeera Ghar Aaja

Исполнители: Bollywood
Альбомы: Bollywood – Bollywood - Junglee
обложка песни

Текст Bollywood – Fakeera Ghar Aaja

Текст:

Hmm…

Tujhko yaad hai bata
Bhooli bisri woh jagah
Usme lipti woh subah

Us ek angan ko bana
Tu zameen aur aasman
Phirta kyun hai yun tanha

Tu hi jo darmiyaan hai
Tujh mein aur aashiyaan hai
Kar de kam fasle tu oo… ooh…

Dastak tu de yahan pe
Sunte hai dar wahan pe
Kar de kam fasle zara…

Oo… oo…

Tu chhod zid ko
Fakeera ghar aaja
Fakeera ghar aaja

Fakeera ghar aaja…

Ooo…
Ajnabi seheron ki tu
Kyun bahon mein soye
Yun ginta sitaare
Majhdhaar ki hai aadat
Paas mein hi the hamesa kinare

Tune dil pe tha likha
Tere ghar ka pata
Sidhe aksharon mein yun
Kyun akela is tarah
Bandh moh ki doriyan
Udta dil ka patanga

Tu hi jo darmiyaan hai
Tujh mein aur aashiyaan hai
Kar de kam fasle tu oo… ooh…

Dastak tu de yaha pe
Sunte hai dar wahan pe
Kar de kam fasle zara…

Oo… oo…

Tu chhod zid ko
Fakeera ghar aaja
Fakeera ghar aaja

Fakeera ghar aaja
Fakeera ghar aaja

Альбом

Bollywood – Bollywood - Junglee