GLyr

Bollywood – Khoya Ujaala

Исполнители: Bollywood
Альбомы: Bollywood – Bollywood - Helicopter Eela
обложка песни

Текст Bollywood – Khoya Ujaala

Текст:

Rootha rootha hai yeh dil bhi humara
Hai rootha har nazara
Kyun toota toota hai woh chaand humara
Hai toota har sitaara

Kyun andhere chhaaye
Yun phehlaake baanhein
Kyun hum ladkhadaayein
Phir bhi chalte chalte rahein
Kyun kadamon mein aaye
Yun apne hi saaye
Kyun hum bharmaaye
Dil ke kise kise kahein

Khoya ujaala, khoya ujaala
Humein rukna na aaye
Khoya ujaala
Hum chalte chalte rahein
Khoya ujaala

Bheega bheega sa ek khwaab humara
Palkon ka kinara
Ruka ruka sa yeh paanv humara
Khud ka hi sahara

Yeh kuchh lamhe aaye jeena shikhaaye
Dil na ghabraaye yun hi chalte chalte rahein
Jab waqt jhukaaye jhukna na aaye
Dil ko samjhaaye yun hi chalte chalte rahein

Khoya ujaala, khoya ujaala
Humein rukna na aaye
Khoya ujaala

Ek nanha sitara kahin
Toota toot ke yeh keh gaya

Chalte hi rehna chalna hi toh hai jeena

Khoya ujaala, khoya ujaala
Humein rukna na aaye
Khoya ujaala
Hum chalte chalte rahein
Khoya ujaala

Альбом

Bollywood – Bollywood - Helicopter Eela